Header Google Ads

Mid-Day Meal Scheme Ka Naam Badalkar "PM Poshan Yojna"Kiya Gaya.


                       Mid-Day Meal Scheme Ka Naam Badalkar "PM Poshan Yojna"Kiya Gaya. 

 Central Government Ne Wednesday Ko Government Aur Government Aided Schoolon Me Student Ko Paka Bhojan Available Karane ke Liye 'PM Poshan Yojna' Launch Ki PM Poshan Yojna Me Government Aur Government Aided Schoolon Mein 1st Se 8th  Standard Me Padhne Wale Sabhi School Se Bacche Ko Shamil Kiya Gaya Hai.Ye Faisla PM Narendra Modi Ke Guidance Me Hui, Cabinet Committee On Economic Affairs (CCEA) Ki Baithak Me Liya Gaya Yojna Me Desh Bhar Me 11.20 Lakh Schoolon Me 1st Se 8th Standard Me Padhne Wale Kareeb 11.80 Crore Bacche Hai.

 Union Minister Of Education Ne Bataya, Is Yojna Ko Finance Year 2021-2022 Se 2025-2026 Tak 5 Saal Ki Samay Ke Liye Jaari Rakhne Ki Manzoori De Di Gayi Hai Isme Central Government 54,061.73 Crore Aur State Government And Territories 31,733.17 Crore Rupay Ka Kharch Uthayegi. Iske Alawa Central Government Food Per Kareeb 45,000 Crore Rupay Ki Additional Cost Bhi Afford Karegi Yojna Ka Total Budget 1,30,794,90 Crore Rupay Hoga.

Tags

एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.