Temperature Ke Badhte BMC Ne Guidelines Issue Kiya, Garmi Mein Health Ko Kaisa Rakhna Hai Kaise Nahi.
BMC Executive Health Officer Dr Mangala Gomare ne kuch instructions Diye Hain jise log Follow kar Sakte hain Garmi se Bachne ke lLye
Paani Piyo agar Aapko Pyaas na ho toh bhi
Light Color Ke halke loose ya Cotton ke kapde pehne sath me Ghar se bahar Nikalne par Sun Goggles, Umbrella/Hat, Shoes or Slippers ka use karen
Travel karte waqt Paani aur Piyaaz (Kaanda) sath me Carry karen
Alcohol, Tea, Coffee aur Carbonated Soft Drinks (Cold Drinks) peena Avoid karen iss se Body Dehydrate hoti hai
High protein food aur Baasi khana khana Avoid karen
Outdoor kaam karne wale apna sir par hat ya Umbrella use karen ya phir hosake toh head aur face Gamcha jaise Cotton cloth se cover karen
Apne Face Head Neck par Geele kapde ka use karen
Drink homemade drinks jaise ORS, Lassi, Torani (Rice Water), lemon water, buttermilk, Coconut Water wagerah regular peete rahen yeh body ko re-hydrate karne me madad karega
Janwaron ko shed me rakhe aur unko bhi paani pilate rahen
Apne ghar ko cool rakhen Curtains, shutters or Sunshades ka use karen raat ko windows open rakhen
Fans, Wet Clothes ka use karen thande paani se nahana chaiye
Do not Leave Children or Pets in Parked Vehicles.
Weak ya ill feel hone par immediately doctor ke pass jayen
Kisi ko heat stroke (Loo) lagajaye toh uss shaks ko dhoop se hatakar thandi jagah shed me lejayen, geele kapde se body poohanche aur sir par paani chidken jiss se high body temperature level ho
Aise shaks ki body rehydrate karne ke liye ORS or lemon syrup / torani jaise drinks pilayen
Yaad rakhen heatstroke jaanlewa hosakta hai iss liye iss se affected peraon ko turant Doctor ke pass lejayen
🪀 *Press Link Join OFFICIAL WHATSAPP GROUP* 👇
https://chat.whatsapp.com/LsiynrFCowu7gjbA3WJFub