10 Arrested by Andheri Police Pradhanmantri Mudra Loan Ke Naam Par Fraud Karne Ka Mamla
Public Ko Pradhan Mantri Mudra Yojana Ke Tehet Social Media Par Low Interest Rates Ka Lalach De Rahe The.
Mili Jankari Ke Anusar Ek 44 yrs Ki Mahila Ko Rs5 Lakh Loan Par Bahot He Kam Interest Rate Ka jhaasa Diya Gaya tha
Government scheme bolkar 2 percent interest rate se loan Dene ka waada kiya aur mahila ko apne personal documents submit karne ko kaha.
Details Milne Ke Baad Fake Loan Documents aur Loan Agreement Banaye Aur Unhe Rs 44,000 Ki Fees Maange.
Wahi Jab unhone Paise Transfer Kiye Uske Baad Unhe Loan Ke Paise Nahi Mile Aur Uske Baad Unhone Andheri Police Ko Complaint Kiya.
Is Maamle Mein Investigation Karte Hue Ek Fake Call Centre Ka Parda Faash Hua Jahan 10 Log Kaam Kar Rahe The.
Police 38 Mobile Phone ,61 Debit Card , 20 Cheque Books , 37 Passbooks aur 48 Sim Card Baramad Kiye.
Arrested
Sunil Chavan, 27, Bhimshankar Rathod, 24, Sujit Pasi, 28, Chandrashekhar Rathod, 28, Vilas Rathod, 25, Ravi Pawar, 34, Santosh Chavan, 36, Suresh Rathod, 28, Vikas Chavan, 27 and Jaichandra Chavan, 40
*Join Official Whatsapp Group*
https://chat.whatsapp.com/DVsM2D6unvxCj60tkftuKA
🌀 *Join Official Telegram Group* 👇🏻👇🏻
https://t.me/+dj5w6C4-2RtjMzA9