Header Google Ads

Laadki Behne Yojna Me Fraud Aaya Saamne 30 Aadhar Card 1 Bank Account Number Se Connect Karke Apply Kiya Shaks Ne

Laadki Behne Yojna Me Fraud Aaya Saamne 30 Aadhar Card 1 Bank Account Number Se Connect Karke Apply Kiya Shaks Ne

Maharashtra me CM Eknath Shinde ki sarkar ne Laadki Behen Yojna shuru kiya hai, jisme mahilaon ko Rs 1500 rupiye diye jaa rahe hain.


Iss yojna ka misuse karte hue Satara ke ek shaks ne ek hi mahila ka alag alag dress me alag alag photo nikala aur 30 alag alag application form bhara.


Kamal toh yeh hai ke 30 alag alag Aadhar card ko ek hi mobile number aur 1 hi bank account se joda gaya hai, aur khabro ke anusar 26 application ke paise bhi account me aagaye.


Satara district official ne yeh fraud hone ki baat confirm kiya hai aur iss mamle ki jaanch ki jaa rahi hai.


🪀 *Join Official Whatsapp Group*

https://chat.whatsapp.com/HCvIRXefkVSLqAbeBow3x3


🌀 *Join Official Telegram Group* 👇🏻👇🏻

https://t.me/+dj5w6C4-2RtjMzA9

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.