Road Par Chalne Wale Aam Aadmi Ko Koi Buniyadi Haq Hai Ke Nahi? Illegal Hawkers Mamle Mein BMC Ko Phatkara Bombay High Court Ne
Mumbai Mein Illegal Hawkers Ko Lekar Bombay High Court Ne Pichle Mahine BMC Aur Mumbai Police Ko Road Par, Footpath Par Baithe Illegal Hawkers Ke Khilaf Sakht Karwai Karne Kaha Tha.
Mumbai Mein Road Ke Dono Side, Footpath Par Hawkers Ka Jamaoda Rehta Hai, Yeh Haal Poore Sheher Ka Hai. Logon Ka Chalna Mushkil Hai.
12 December Thursday Ko Iss Case Par Sumwai Karte Hue Bombay High Court Ke Justices Ajey S Gadkari Aur Kamal R Khata Ki Bench Ne Ek Baar Phir BMC Ko Phatkar Lagaya Hai.
Mumbai Ke Station Area Ke Pass Illegal Hawkers Aur Stalls Ka Bhi Zikar Karte Hue Court Ne Kaha Ke Mumbai Suburb Ke Andheri, Kandivali, Malad Aur Bhi Stations Ke Pass Logon Ko Chalna Mushkil Hai Jahan Road Dikhata Hi Nahi, Sirf Aur Sirf Hawkers Nazar Aate Hain.
Sath Hi Court Ne Sawal Kiya Ke Mumbai Ki Sadkon Par Chalne Ka Common Ko Koi Buniyadi Adhikar Nahi Hai? Kiya Sirf Pheriwalon Ko Hai?
Mumbai, Illegal Hawkers, Bombay High Court, BMC, Mumbai Roads, Footpath Issues, Street Vendors, Common Rights, Mumbai Justice, Public Space, Mumbai Updates, Legal Action, Street Hawkers
🪀 *Join Official Whatsapp Group*
https://chat.whatsapp.com/Gi7ahcTf3FmLrfrmeAVuHf
🌀 *Join Official Telegram Group* 👇🏻👇🏻
https://t.me/+dj5w6C4-2RtjMzA9