Kabutar Khana Vivad Mein Naya Twist, Maharashtra UDD Ne RTI Mein Kaha—Pigeon Droppings Se Health Risks Ka Koi Data Nahi
Maharashtra ke Urban Development Department (UDD) ne ek RTI reply mein bataya ki unke paas pigeon droppings ya feathers se hone wale health risks ka koi data nahi hai.
yeh jawab animal activist Roshan Pathak ke RTI query ke response mein aaya, jisme unhone pucha tha ki kabutarkhanas band karne se pehle court se koi permission li gayi thi ya nahi, aur pigeons ke waste se kya health issues report hue hain.
UDD ne dono sawalon ka jawab diya ki unke records mein aisa koi data available nahi hai.
Yeh revelation Bombay High Court ke recent concerns ke khilaaf jata hai, jahan court ne 24 July ko pigeon droppings se public health risks par serious concern jataaya tha aur BMC se medical data maanga tha
🪀 Join Official Whatsapp Group
https://chat.whatsapp.com/LhDDEWRfaBN8Ce9ASEl62J?mode=ac_t
#nukkadnews #newsnukkad
#nukkad
#nukkadnewslive
#नुक्कड़_न्यूज
#न्यूज_नुक्कड़
#नुक्कड़
#नुक्कड़_न्यूज_लाइव