Header Google Ads

2 Lakh Crore Ka Scam! ED ne Axis Mutual Fund ke ex-Manager Viresh Joshi ko kiya arrest

Mumbai | Nukkad News |03 August 2025

Enforcement Directorate (ED) ne ek mega financial scam ka पर्दाफाश karte hue Axis Mutual Fund ke former Fund Manager Viresh Joshi ko ₹2 lakh crore ke front-running scam ke case mein arrest kar liya hai.
ED ne 1-2 August ko Delhi, Mumbai, Gurugram, Ludhiana, Ahmedabad, Bhavnagar, Bhuj aur Kolkata mein multiple jagah search operations chalaye. Investigation ke dauraan illegal profits aur insider trading se jude kai solid proof mile hain.

Scam ki Kahani: Kya tha pura game?

Front-running ek illegal practice hoti hai jahan brokers/traders apne clients ke trades se pehle apna trade execute kar lete hain — taaki wo price movement ka fayda utha saken.

Viresh Joshi, jo Axis Mutual Fund ke fund manager the (2018-2021 ke beech), unhone confidential trade info ka galat faayda uthaya. Jo stocks mutual fund kharidne wala tha, unke pehle khud buy/sell karke crore ka profit banaya.

Mumbai Police ne December 2024 mein iske against FIR file ki thi, jiske basis par ED ne case liya aur ab arrest kiya gaya hai.

 Dubai Terminal aur Fake Trading Accounts ka use

ED ne bataya ki Viresh Joshi ne Dubai ke ek trading terminal ka use kiya, jahan se unhone mule trading accounts ke through front-running orders punch kiye.
Ye accounts alagalag brokers ke naam par banaye gaye the — taaki asli mastermind ka naam na aaye.

Investigation mein pata chala ki Joshi ke alawa kai traders/brokers bhi is ghotale mein shamil hain. Ab tak ₹200 crore se zyada ka fraud trace kiya ja chuka hai, jo aage aur badh sakta hai.

Fraud ka paisa fake shell companies, benami accounts aur family members ke naam se ghumaaya gaya — jiska ED ab full audit kar rahi hai.

Front-Running hota kya hai?

Ye ek unethical aur illegal method hai jisme trader ya broker ko client ke trade ka advance idea hota hai — wo apne profit ke liye pehle khud trade kar leta hai.
Isse market manipulate hota hai aur doosre investors ko nuksaan.

ED ne kya-kya jabt kiya?

Search operations mein ED ne ₹17.4 crore ke shares, mutual funds aur bank balance freeze kiye hain — jo ki Proceeds of Crime (POC) maane gaye hain.

Viresh Joshi ko PMLA, 2002 ke tahat arrest kiya gaya hai aur court ne use 8 August tak ED custody mein bhej diya hai — taaki poori kahani ki layers kholi ja saken.
Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.