Senior Police Inspector Ko Rishwat Mangne Aur Lene Ke Aarop Me Anti Courruption Ne Trap Kiya
Mumbai Ke Tilak Nagar Police Station Ke Senior Police Inspector Deepak Bagul Ko Anti Corruption Bureau Monday Night Ko Rishwat Mangne Aur Lene Ke Aarop Me Arrest Kiya
Mumbai Ke East Region DCP Zone 6 Me Rishwat Ke Mamle Bar Bar Samne Aa Rahe Hai Aur Zone 6 Ka Charge Hemraj Singh Rajput Ke Under Hai
Mili Jaankari Ke Anusar Shikayat Karta Ne Ek Credit Society Jo Ek Mahila Dwara Chalai Jaa Rahi Thi Us Me 27 Lakh Invest Kiye the Jis Ka Bakaya 17 Lakh Tha
Aur Complainat Ne Mahila Ke Khilaaf Tilak Nagar Police station Me FIR Bhi Darj Ki Thi Jis Ki Investigation Chal Rahi Thi
Jis Ke Baad Complainant Ko 5 July Ko Inquiry Ke Liye Police Station Bulaya Gaya Aur Aarop Hai Ke Case Ko Speed-up Karne Ke Liye Complainant Se 1 Lakh Ki Demand Ki Gayi
Jis Ke Baad Complainant Ne Anti Courruption Bureau Ko Approch Kiya Aur 8 July Ko Rs.35000 Ki Pehli Installment Lete Huye Sr.PI Deepak Bagul Ko Arrest Kiya Gaya aur 2 din Ki Custody Me Bhej Diya Gaya Sr.Pi Deepak Bagul Par Under Section 7 of Anti Courruption Act Ke Tahat Mamla Darj Kiya Gaya Hai
Is Se Pehle Last Year December 2023 Me ACB Ne RCF Police Station Se Attached Police Inspector, Police Sub Inspector, Aur Ek Constabl Ko 10 Gram Gold Coin Aur Rs.70,000 Cash Ke Mamle Me Arrest Kiya Tha
Wahi Us He Mahine Me *Mankhurd Police Station se Attached Constable Ko Rs.10,000 Ki Rishwat Lete Arrest Kiya Gaya Tha
🪀 *Join Official Whatsapp Group*
https://chat.whatsapp.com/G1X2GOUvaTF7SPURAKTJA3
🌀 *Join Official Telegram Group* 👇🏻👇🏻
https://t.me/+dj5w6C4-2RtjMzA9