Salamati Peer Dargah Mein Urs Celebration Par Rok Lagayi, Bombay Highcourt Ne
Bombay High Court ne Pune ke Dehu Road mein Hazrat Salamati Peer Dargah ke annual Urs celebrations par rok laga di hai
court ne kaha ki yeh dargah ek Kabristan ke andar hai, jahan celebrations nahi ho sakte
Yeh dargah BJP leader aur former Maharashtra State Minorities Commission chairman Haji Arfat Shaikh ke father ka Kabar hai, jinka real name Hazrat Sufi Khwaja Shaikh Alamgir Shah Qadri Al Chisti Iftekhari Hai
Justices M S Sonak aur Jitendra Jain ne yeh interim order diya, citing location dispute aur Maharashtra Wakf Board ke 25 April, 2018 ke order par sawaal uthaye, jisme police protection ke liye directions di gayi thi.
Wahi Haji Arfat Shaikh ne Press ko Statement dete hue bataya ki Dargah Kabristan land mai nahi balki Eid Gah land par hai ,Court ke Samne Facts Misrepresent kiya gaya hai
Dargah Trust aur waqf Board is order ke khilaf Jald appeal file karengi
Hazrat Salamati Peer ki Janamdin aur Urs har saal 15 Aug ko Manaya jaata hai
🪀 Join Official Whatsapp Group
https://chat.whatsapp.com/LhDDEWRfaBN8Ce9ASEl62J?mode=ac_t